Bakht-E-Khufta Ne Mujhe Rauzay Pe Jaanay Na Diya
Chashm-O-Dil Seenay Kaleyje Se Laganay Na Dia
Aah! Qismat Mujhe Duniya Ke Ghamon Ne Roka
Haaye! Taqdeer Keh Taiba Mujhe Jaanay Na Dia
Sharbat-E-Deedar Ne Aur Aag Lagadei Dil Mein
Tapish-E-Dil Ko Barhaya Hai Bujhanay Na Dia
Ab Kahan Jayega Naqsha Tera Mere Dil Se
Teh Mein Rakha Hai Issay Dil Ne Gumanay Na Dia
sajda krta jo mujhe iske ijazat hoti
kya kru itzn mujhe iska khuda ne na diya
Mere A’mal Ka Badla Tou Jahannum Hee Tha
Mein Tou Jaata Mujhe Sarkar Ne Jaanay Na Dia
paaw thak jaate aghr paaw banta sir ko
sir ke bal jata maghar zok ne jaane na diya
sir to sir jaan se jane ki bhi hasrat hai mujhe
mout ne haaye mujhe jaan se jaane na diya
Nafs-E-Badkaar Ne Dil Pe Ye Qiyamat Torri
Amal Naik Kia Bhi Tou Chupanay Na Dia
Aur Chamakti Sei Ghazal Koi Parho Aey Noori
Rung Apna Abhi Jamnay Sho’ra Ne Na Dia
No comments:
Post a Comment
Shukriya janab