Tuesday, 14 April 2020

Ae Khasa e Khasan e Rusul waqt e duaa hai

Ae Khasa e Khasan e Rusul waqt e duaa hai
Ummat pe tiree aakay ajab waqt para hai


jo deen barhi shaan say nikla tha, watan say
pardais mein woh aaj ghareeb-ul-ghuraba hai


Jiss Deen Nay Ghairo kay thay Dil aakay Milaaye
iss deen mein khud bhai say ab bhai judaa hai


Jo Deen Ke Hamdard e Bani Nao e Bashr Tha
Ab Jang o Jadal Char Taraf Es Mein Bpa Hai


Faryaad hai aye kashti-e-ummat kay nigehbaan
beira yeh tabaahi kay qareeb aa lagaa hai


Kar Haq Se Dua Umat e Marhoom ke haq mein
Khatroon mein bohat jis ka jahaz aa ke ghira hai


Hum naik hain ya bad hain phir aakhir hain tumhare
Nisbat bohat achi hai agar Haal bura hai


tadbeeer sambhalney ki hamarey nahin koi
haan aik DUA teri ke maqbool e KHUDA hai


woh deen, huee bazm-e-jahaan’, jiss say charaaghaan’
aaj iski majaaliss mein na batti na diyaa hai


jo deen keh tha shirk say aalam ka nigehbaan
ab iska nigehbaan’, agar hai, to KHUDA hai


Jis Deen Ke Madoow Thay Kabhi Qaisar o Qisra
Khud Aaj Woh Mahmaan Sara e Fuqra Hai


Jo TafarrQay Aqwaam Ke Aya Tha Mitaney
Ess Deen Mein Khud TafarrQa Ab Aa Ke Para Hai


Jis Deen Ka Tha Faqr Bhee Akseer , Ghina Bhee
Es Deen Mein Ab Faqr Hai Baqi Na Ghina Hai


Jis Deen Ki Hujjat Se Sab Adyaan They Maghloob
Ab Mautraz Es Deen Pe Har Harz e Draa Hai


Hai Deen Tera Ab Bhe Wohi Chasma Saafi
Deen Daroun Mein Par Ab Hai Baqi Na Saffa Hai


Aalam Hai Soo Be Aqal Hai , Jahil Hai So Wahshi
Munam Hai So Maghroor Hai , Muflis So Gadda Hai


Yaan Raag Hai Din Raat Widaan Rang Shab o Rooz
Yeah Majlis Aayaan Hai woh Bazm e Shurafa Hai


Chotoon Mein Ataaet Hai Na Shafqat Hai Baron Mein
Pyaroon Mein Muhabat Hai Na Yaroon Mein Wafa Hai

Dolat Hai Na Ezat Hai Na Fazeelat Na Hunar Hai
Ek Deen Hai Baaqi So Woh Be Barg o Nawa Hai

Hai Deen Ki Dolat Se Baha Ilm Se Ronaq
Hai Dolat o Ilm Es Mein Na Ronaq Na Baha Hai

Tuesday, 7 April 2020

Mere Aaqa Mujhe Eidi Ata kerde | Asad Raza Attari | Lyrics

Joli ko meri bhardo e amna bi ke pyare

mere aaqa mere sarkar mujhe eidi ata krde
me aaya hu tere darbaar mujhe eidi ata krde

mujhe eidi me apna ghum ata krde mere aaqa
bna de apna hi Hubdar mujhe eidi ata krde

mere shaha hu jesa bhi magar me aapka hi ka hu
mera bhi krde beda paar mujhe eidi ata krde 
(Phuche phuchne wale to manzil mere shaha
inki jo thak ke bete hai sare rah le khabar)

meri aankhein to is qabil nahi hai ya nabi fir bhi
ataa ho aapka deedar mujhe eidi ataa krde

me ek tuta sa dil lekar tumhare pass aaya hu
na thukrana mere dildaar (sarkar) mujhe eidi ataa krde
 nahi jaataa tumhare astane se koi khali
sabhi ke aap ho ghum khwar mujhe eidi ataa krde

tamanna e dil e Ahmed nahi kuch bhi siwa iske
shaha aau yha har baar mujhe eidi ataa krde



Friday, 3 April 2020

Me Bura Hoon | Naat Lyrics |Urdu /hindi

Mein bura hoon ya bhala hoon meree laaj ko nibhana 
Mujey jaanta hey aaqa terey naam sey zamana 

Chaukat pey agaya hoon sarkar aaj sun lo 
Meree dhuk bharee kahani mera dhuk bhara fasana 

Teree ashiqi sey pehlay mujey kaun jaanta tha 
Terey ishq nain bana dee meree zindagi fasana 

Mujey is ka gham naheen hey kay badal gaya zamana 
Meree zindagi hey tumse kahee tum badal na jaana 

Wo nawaznain pey aeyn to nawaaz dayn zamana 
Wo kareem hee jo tehray to karam ka kiya tikhana 

Terey naam sey zahoori mujey jaanti hey duniya 
Tera ho gaya hoon jab se mera ho gaya zamana

Thursday, 2 April 2020

Madad Ya Ali Mola | Milad Raza Qadri | Lyrics

Madad Ya Ali Ali Mola
Madad Ya Ali Ali Mola

Madad mangi hai sadaqa jali
Madad Mangi hai sadaqa Nabi
Madad Mangi Hai sadaqa Hasan
Madad mangi hai sadqa hussain

Ye wird kiya mushkil hai tali
Madad Ya Ali.......

Mere mola ke aane se zamane me bahar aayi
Wo islam ki zinat wo hai qaba ki zaibai
Rasoolallah ke dilbar khuda ke sher hai Haidar
Falak khata hai juk juk kr salami lijiye Haidar
sawali hai aap ke sare wali

Madad Ya ali........

Unhe Allah baksha hunar mushkil kushai ka
Batao hai koi hamsar rasoolallah ke bhai ka
Arab hai ali mola nabi ka chain ali mola
Zuba ke sath dil bola ali mola ali mola
Lagayo sada ye hai sb se bhali

Mada yA Ali.............

Btao kya mila Mujh ko ali ke astane se
mila iman mila quran Mohammad ke gharane se
ajab kuch aan wala hai nirali shan wala hai
jaha me bol bala hai nasab kitna aala hai
ye kh ke khili dil ki kali

Madad ya Ali......


Rasoolallah ke ashab ulfat ke maze lete
Ali ki did kr lete, ibadat ke maze lete
Abu Bakro umar usma ali se pyar krte hai
Janab e buzaro salma bilal amar krte
Inhi se mili hai wilaye ali

Mada Ya Ali.........

Me janta hu | Lyrics

Me Janta Hu ke Naiko Me Mera Naam nahi
Nabi Ke dar Ka Me Nokar Hu Koi Aaam Nahi

Wo mere jese ko bhi apne pass rakhte hai
Mera Nasib Bhi aala hai koi aaam nahi

Tera Patta hai gale me to log jante hai
Wagar Naa krta kisi se koi kalam nahi

Ise karam kahu ya mojza kahu yaaro
Use kharidte hai jiska koi daam nahi

Wajad me hosh na ho fir bhi hosh rhta hai
Gulam unka me hu pr me bailagam nahi

Nabi ke pyar ki dolat ko har taraf banton
siwa e iske mera koi bhi pyama nahi

mere to sine me khaq sabaz kumbad ke
ye bolte hai ziya ye mera kalam nahi

Wednesday, 1 April 2020

Shayad Huzoor Ham se khafa Hai | Lyrics

Ja Zindagi madine se joke hawa ke laa
shayad huzoor ham se khafa hai mana ke laa
Sajdo me gid gida ke Mohammad ke paw pr
jaa or jald rahmat e haq ko bula ke laaa

Kuch hai bhi chehraye batin sawar le
bu bakar se kuch aaine ishq o wafa ke laa
Shayad huzoor.....

Duniya bahut hi tang musalman pe ho gyi
faruk ke zamane ke naqsha utha ke laa
Shayad huzoor.......

Batil se dab rahi hai fir ummat rasool ki
Manzar zra Hussain se fir kabala ke laaa
Shayad huzoor....

Kis muh se paish hoga muzaffar huzoor e haq 
isko shahid uswaye aaqa bana ke laaa
Shayad Huzoor Ham se khafa hai 
Mana Ke laa......

Mohammad Sa Koi Nahi | Naat Lyrics । Asad Iqbal

Yahi hamne samjha yahi hai suna Mohammad sa koi nahi 
hai adam ki anakhon ka dekha hua Mohammad sa koi nahi

Zami aapki aasma aapka hai Mustafa do jha aapka hai
sotaron ka ye karwa aapka hai mere Chamn aapka gulsitan aapka hai
Zami ne falak se ye jhuk kr kha .......

Dahan khubsurat zakan khubsurat mere Mustafa ka badan khubsurat
hai jisme Hussain o Hasan khubsurat wo mere nabi ka chaman khubsurat
he bemisl noori gharana tera......

Shahe ambiya ka falak pr wo jana Hui mahab sakit fazaye zmana
wo asra ki shab ka tha manzar suhana imam e rusool ka musalle pe aana
Sabi muqtadi wo hue muqtada......

Agar mere aaqa inayat krenge hasi sabse apni ibadat krenge
Rukhe mustafa ki tilawat krenge tilawat braye ziyarat krenge
Asad ki zba pr ho bs ye sda.......

Aaya Na Hoga Is Tarah । Manqabat Karbala

Aaya Na Hoga Iss Tarha, Rang O Shabab Rait Par
Gulshanay Fatima Kay Thay, Saray Gulaab Rait Par.

Janay Batool Kay Siwa, Koi Nahin Khila Saka
Qatra E Aab Kay Bagheir, Itnay Ghulaab Rait Par.

Ishq Main Kiya Lutaiye, Ishq Mein Kiya Bachaiye 
Ale Nabi Nay Likh Diya. Sara Nissab Rait Par.

Jitnay Sawal Ishq Nay, Aal E Rasool Say Kiye
Eik Se Badhkar Eik Ne Diya, Sarey Jawab Reit Par.

Tarse Hussain Aab Ko,Me Jo Kahu To Be Adab 
Lam Say Labe Hussain Ko, Tarsa Hai Aab Rait Par.

Ale Nabi Ka Kaam Tha, Ale Nabi Hi Kar Gaye
Koi Na Likh Saka Adeeb Aisi Kitaab Rait Par.

जो कोई गम सताए तो मदिना याद करलेना । by Asad Raza Attari

जो कोई गम सताए तो मदिना याद करलेना 
न दिल को चैन आये तो मदिना याद करलेना 

सहारा बेसहारो का मदावा गम के मारो का 
न कोई काम आए तो मदिना याद करलेना 

उमूमन ज़िन्दगी में दुख के दिन भी आ ही जाते है 
कभी लम्हे ये आये तो मदिना याद करलेना 

सुना है मुश्किलो में साथ कोई भी नही 
ज़माना छोड़ जाए तो मदिना यादकर लेना 

कभी अश्को की बोली भी खमोशी में बदल जाये 
और दिल आंसू बहाये तो मदिना याद करलेना 

हवाएं भी मुखालिफ हो हो दरिया में भी तुग़लानी
 और कश्ती डूब जाए तो मदिना याद करलेना
 
कभी जो सास बिखरी हो कभी धड़कन जो उलझी हो 
न दिल भी जो संभल पाए मदिना याद करलेना 

मुसीबत में तो हर कोई उन्ही को याद करता है 
खुशी अहमद जो आये तो मदिना याद आया 

Bakhte Khufta Ne Hame Roze Pe । खुफ्ता ने मुझे रोज़े पे जाने ना दिया । Naat Lyrics

Bakht-E-Khufta Ne Mujhe Rauzay Pe Jaanay Na Diya
Chashm-O-Dil Seenay Kaleyje Se Laganay Na Dia

Aah! Qismat Mujhe Duniya Ke Ghamon Ne Roka
Haaye! Taqdeer Keh Taiba Mujhe Jaanay Na Dia

Sharbat-E-Deedar Ne Aur Aag Lagadei Dil Mein
Tapish-E-Dil Ko Barhaya Hai Bujhanay Na Dia

Ab Kahan Jayega Naqsha Tera Mere Dil Se
Teh Mein Rakha Hai Issay Dil Ne Gumanay Na Dia

sajda krta jo mujhe iske ijazat hoti 
kya kru itzn mujhe iska khuda ne na diya

Mere A’mal Ka Badla Tou Jahannum Hee Tha
Mein Tou Jaata Mujhe Sarkar Ne Jaanay Na Dia

paaw thak jaate aghr paaw banta sir ko
sir ke bal jata maghar zok ne jaane na diya

sir to sir jaan se jane ki bhi hasrat hai mujhe 
mout ne haaye mujhe jaan se jaane na diya

Nafs-E-Badkaar Ne Dil Pe Ye Qiyamat Torri
Amal Naik Kia Bhi Tou Chupanay Na Dia

Aur Chamakti Sei Ghazal Koi Parho Aey Noori
Rung Apna Abhi Jamnay Sho’ra Ne Na Dia

Ae Khasa e Khasan e Rusul waqt e duaa hai

Ae Khasa e Khasan e Rusul waqt e duaa hai Ummat pe tiree aakay ajab waqt para hai jo deen barhi shaan say nikla tha, watan say pardais mein ...