Monday, 30 March 2020

Tajdare madina ke jalwe, Naat Layrics |Urdu/Hindi/Engish

Tajdare madina ke jalway
Jin ke dil mein samaye hue hein
Door reh kar wo pur ba aashna hein
Dil madina banaye hue hein

Jinko unki tawajjoh ne pala
Unki rehmat ne jinko nawaza
Un gadaon ka kya puchhte ho
Wo zamane pe chhaye hue hein

Mere aaqa ki jin par nazar hai
Donon aalam ki unko khabar hai
Jinka maksood unka hi dar hai
Saare asraa wo paaye hue hein

Aale at'har ka sadka ata ho
Muflisi ka hamari bhala ho
Ae sakhi aap ke dar pe ham bhi
Damane dil bichhaye hue hein

Tees paron mein jo kuch likha hai
Sar b sar sirat e mustafa hai
Unki sirat mein jo dhal gaya hai
Uspe rehmat ke saaye hue hein

Meri aukat kuch bhi nahi hai
Khud meri zaat kuch bhi nahi hai
Mere sarkar ka ye karam hai
Baat meri banaye hue hein

Aarazu e karam dil mein lekar
Khalid unke sakhi aastan par
Ungaliyan auliya asfiyan sab
Apne kaase badhae hue hein.

No comments:

Post a Comment

Shukriya janab

Ae Khasa e Khasan e Rusul waqt e duaa hai

Ae Khasa e Khasan e Rusul waqt e duaa hai Ummat pe tiree aakay ajab waqt para hai jo deen barhi shaan say nikla tha, watan say pardais mein ...