Ae Khasa e Khasan e Rusul waqt e duaa hai
Ummat pe tiree aakay ajab waqt para hai
jo deen barhi shaan say nikla tha, watan say
pardais mein woh aaj ghareeb-ul-ghuraba hai
Jiss Deen Nay Ghairo kay thay Dil aakay Milaaye
iss deen mein khud bhai say ab bhai judaa hai
Jo Deen Ke Hamdard e Bani Nao e Bashr Tha
Ab Jang o Jadal Char Taraf Es Mein Bpa Hai
Faryaad hai aye kashti-e-ummat kay nigehbaan
beira yeh tabaahi kay qareeb aa lagaa hai
Kar Haq Se Dua Umat e Marhoom ke haq mein
Khatroon mein bohat jis ka jahaz aa ke ghira hai
Hum naik hain ya bad hain phir aakhir hain tumhare
Nisbat bohat achi hai agar Haal bura hai
tadbeeer sambhalney ki hamarey nahin koi
haan aik DUA teri ke maqbool e KHUDA hai
woh deen, huee bazm-e-jahaan’, jiss say charaaghaan’
aaj iski majaaliss mein na batti na diyaa hai
jo deen keh tha shirk say aalam ka nigehbaan
ab iska nigehbaan’, agar hai, to KHUDA hai
Jis Deen Ke Madoow Thay Kabhi Qaisar o Qisra
Khud Aaj Woh Mahmaan Sara e Fuqra Hai
Jo TafarrQay Aqwaam Ke Aya Tha Mitaney
Ess Deen Mein Khud TafarrQa Ab Aa Ke Para Hai
Jis Deen Ka Tha Faqr Bhee Akseer , Ghina Bhee
Es Deen Mein Ab Faqr Hai Baqi Na Ghina Hai
Jis Deen Ki Hujjat Se Sab Adyaan They Maghloob
Ab Mautraz Es Deen Pe Har Harz e Draa Hai
Hai Deen Tera Ab Bhe Wohi Chasma Saafi
Deen Daroun Mein Par Ab Hai Baqi Na Saffa Hai
Aalam Hai Soo Be Aqal Hai , Jahil Hai So Wahshi
Munam Hai So Maghroor Hai , Muflis So Gadda Hai
Yaan Raag Hai Din Raat Widaan Rang Shab o Rooz
Yeah Majlis Aayaan Hai woh Bazm e Shurafa Hai
Chotoon Mein Ataaet Hai Na Shafqat Hai Baron Mein
Pyaroon Mein Muhabat Hai Na Yaroon Mein Wafa Hai
Dolat Hai Na Ezat Hai Na Fazeelat Na Hunar Hai
Ek Deen Hai Baaqi So Woh Be Barg o Nawa Hai
Hai Deen Ki Dolat Se Baha Ilm Se Ronaq
Hai Dolat o Ilm Es Mein Na Ronaq Na Baha Hai